BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA,
Khushiyo ka khazana hota tha,
Chahat chand ko pane ki,
Dil titli ka deewana hota tha,
Khabar na thi kuch subah ki,
Na shyam ka thikana hota tha,
Thak haar kar aana school se,
par khelne bhi jana hota tha,
Daadi ki kahani hoti thi,
or pariyo ka fasana hota tha,
Baarish me kaagaz ki kashti thi,
har mosum suhana hota tha,
Har khel me saathi hote the,
har rishta nibhana hota tha,
Papa ki wo Daate galti par,
Mummy ka manana hota tha,
Gum ki jubaan na hoti thi,
na zakhmo ka paimana hota tha,
Rone ki wajah na hoti thi,
na hasne ka bahana hota tha,
Par ab nahi rahi wo Zindagi,
Jesa BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA!!
No comments:
Post a Comment